Wednesday, January 30, 2013

Aap....





aap ki aankh ki jumbish ko
hum salaam kehte hain
yuunh hont kaata na kiijiye 
inhain jaam kehte hain

aap jo muskraain tau 
duniya bhi muskaraati hai
aap ki saugwaari ko
apna jeena haram kehte hain

labon se jhadte hain phool
aur baaton se khusbu aati hai
chupp jo ho jaain aap tau
bhi kya kya kalaam kehte hain

No comments:

Post a Comment