Wednesday, January 30, 2013

~~Patta Aur Khizaan~~

.




~```~~`~```~``~``~~`
.
.
woh patta jo abke khizaan
daali se tuutke..
zameen pe gir pada hai
hawa ke dosh pe
jaane kahan kahan
dar-badar hona us ki qismat hai
kisi ke anjaan qadmon main
ronde jaane se bachch gya tau
pedh ke qadmon main bikhra
apni tehni pe
naii konpalain
phoottii dekh ke
phoot phoot ke ro pade ga
ke unko bhi khizaan ka dast-e-qaatil
tehniyon se noch de ga...



Inspirations : One and only ~Gulzar~ (A living Legend)


~~najeeB~~ ...August 2009

No comments:

Post a Comment