Wednesday, January 30, 2013

Mammta ... by Parveen Tariq

Extracts from an essay from one of her published book "Boltey Sannatey" Written by Parveen Tariq. (May Allah bless her soul)
.
.
~
Aaj jab main apne lawn mein baithi kitaab ka mutaalia kar rahee thee, kaheen se murghii apne dher saare choozon ko liye chali aayi. Chooze kabhi uss ke parron main chup jaate, kabhi bahar aa kar daana chugne lagte, murgii ke parron ki garmaaish, kis trah nanhe munne rooee ke gallon ko hararat ataa karti hai! Sochchne lagi, qudrat ne badi fyaazi se mammta ka jazba insaanon ke saath saath be-zuban janwaron, charindon parindon ko bhi attaa kiya hai.Tinka tinka akhtta kar ke aashyaana banane waale chida aur chidiya kitni wariftagi ke saath dana dunka apne bachon ki chonchon mein daalte hain ! aaise main un ka shauk deedni hota hai. Main ne jab kabhi ye nazara dekha mujhe apni mammta ka khyaal aa gya.

Aurat ke sab ruup niraale aur haseen hote hain lekin mera khyaal hai ke iss ka sab se khubsurat roop uss waqat ujaagar hota hai jab woh maa banti hai. lafz "maa" main kis qadar shafqat aur mithas hai! Aap apne man-passand lafzon se apni maa ko pukaar sakte hain. "Ammi" kahain "mummy" khain ya "madar-e-mann" ke naam se pukaarain... ye sab ke sab andaaz aik mithaas, aik jahan-e-maainee aur mohabbat ka thaathain marta hoowa sumunder apne ander rakhte hain...............................................
.
.
.
.
Main apne itraaf pe nazar daalti hoon tau poori duniya mein maa ki mammta bikrii nazar aati hai. Fitrat ki har shae maa ki hassti ka izhaar karti hai. Sooraj dharti ki maa hai, Wo us ki wajood mein hararat aur tawanaai utaarta hai. din bhar ki tahkki maandi zameen ko shab ki aagosh main sulaa deta hai. zameen phoolon aur podon ki maa hai. woh unhain ugaati hai aur parwaan chadhaati hai. Goya maa tamaam hast-o-bood ki assal hai, aik abddi naffas hai jo hussun-o-mohabbat ki ibaarat hai. Jis tarah phool ke seeney se mehek phoot kar sahabee fizaa mein tehleel ho jaati hai, ussi tarah gham-o-nishaat ke lamhon mein lafz "maa" humare honton se phoot nikalta hai.

No comments:

Post a Comment