Wednesday, January 30, 2013

________Lakeer________

Pakistan & India on their Independence day

Ik lakeer hai jis ne
kaat daala hai
Ik lakeer hai jis ne
baant daala hai
Rishton ko tod daala hai
Naaton ko noch daala hai

Hum bhi kya log hain
Jo lakeeron ke liye ladte hain
Hum bhi kya log hain
Jo lakeeron pe marte hain
Hum maut ki fassal ugaatay hain
Hum Bhook ka mewaa khate hain
Hum bhi kya log hain

Lakeer ke uss paar bassne walo
Lakeer ke iss paar bhi log basste hain
Yahaan bhi ishq hota hai
Yahaan bhi dil dhadkte hain
yahaan bhi naghme goonjte hain
Yahaan bhi rang bikarte hain
Yahaan bhi phool khilte hain
Yahaan bhi ghaas ugtee hai
Yahaan bhi jharrne behte hain

Lakeer ke iss paar bassne walo
Lakeer ke uss paar bhi log basste hain
Wahaan bhi ishq hota hai
Wahaan bhi dil dhadkte hain
Wahaan bhi naghme goonjte hain
Wahaan bhi rang bikarte hain
Wahaan bhi phool khilte hain
Wahaan bhi ghaas ugtee hai
Wahaan bhi jharrne behte hain

Lakeer ke iss paar bassne waalo
kabhi jaao na.. unn ke desh

Lakeer ke uss paar bassne waalo
Kabhi aao na.. humare des.. 


najeeB ~~14 August 2009...15August 2009~~

No comments:

Post a Comment