Mughees...Muneeb
who tum nahin thay
jo sar-e-bazar
howe shikaar
darindon ka
who tum nahin thay jo
jinhain tadpta dekh ke
jinhain bikhrta dekh ke
asmaan bhi chup raha
zameen bhi behiss rahee
koi hath bhi uttha nahin
koi ashk bhi baha nahin
who tum nahin thay
woh insaniat thee
jo sar-e-bazar
howi shikaar
darindon ka
agar hai Khudaa
tau ab usse
zameen pe aana hoga
lage hain jo zakm tumhain
unhain phool banana hoga
tuhmat hain
darindon ke naam par jo insaan
unhain mitaana hoga
karblaa ke shaheedon pe
roti hai jo duniya
aaj ke yazeedon ka
naam mitaana hoga
~ Ve Bullya
asaan marana naahin
Gor pyaa koi hor
Gor pyaa koi hor...~
No comments:
Post a Comment